safar ko jab bhi kisi daastaan mein rakhna
qadam yaqeen mein manzil gumaan mein rakhna
jo saath hai wahi ghar ka naseeb hai lekin
jo kho gaya hai use bhi makaan mein rakhna
jo dekhti hain nigaahen wahi nahin sab kuchh
ye ehtiyaat bhi apne bayaan mein rakha
vo ek khwaab jo chehra kabhi nahin banta
bana ke chaand use aasmaan mein rakhna
chamakte chaand-sitaaron ka kya bharosa hai
zameen ki dhool bhi apni udaan mein rakhna
सफ़र को जब भी किसी दास्तान में रखना
क़दम यक़ीन में मंज़िल गुमान में रखना
जो साथ है वही घर का नसीब है लेकिन
जो खो गया है उसे भी मकान में रखना
जो देखती हैं निगाहें वही नहीं सब कुछ
ये एहतियात भी अपने बयान में रखा
वो एक ख़्वाब जो चेहरा कभी नहीं बनता
बना के चाँद उसे आसमान में रखना
चमकते चाँद-सितारों का क्या भरोसा है
ज़मीं की धूल भी अपनी उड़ान में रखना
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Eitbaar Shayari Shayari