koi nahin hai aane waala phir bhi koi aane ko hai
aate jaate raat aur din mein kuchh to jee bahaalne ko hai
chalo yahan se apni apni shaakhon pe laut aaye parinde
bhooli-bisri yaadon ko phir tanhaai dohraane ko hai
do darwaaze ek haveli aamad ruksat ek paheli
koi ja kar aane ko hai koi aa kar jaane ko hai
din bhar ka hangaama saara shaam dhale phir bistar pyaara
mera rasta ho ya tera har rasta ghar jaane ko hai
aabaadi ka shor-sharaaba chhod ke dhoondo koi kharaabaa
tanhaai phir sham'a jala kar koi harf sunaane ko hai
कोई नहीं है आने वाला फिर भी कोई आने को है
आते जाते रात और दिन में कुछ तो जी बहलाने को है
चलो यहाँ से अपनी अपनी शाख़ों पे लौट आए परिंदे
भूली-बिसरी यादों को फिर तन्हाई दोहराने को है
दो दरवाज़े एक हवेली आमद रुख़्सत एक पहेली
कोई जा कर आने को है कोई आ कर जाने को है
दिन भर का हंगामा सारा शाम ढले फिर बिस्तर प्यारा
मेरा रस्ता हो या तेरा हर रस्ता घर जाने को है
आबादी का शोर-शराबा छोड़ के ढूँडो कोई ख़राबा
तन्हाई फिर शम्अ जला कर कोई हर्फ़ सुनाने को है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nida Fazli
our suggestion based on Nida Fazli
As you were reading Ghar Shayari Shayari