walid ki wafaat par | "वालिद की वफ़ात पर"

  - Nida Fazli

walid ki wafaat par

tumhaari qabr par
main faatiha padhne nahin aaya
mujhe maaloom tha
tum mar nahin sakte
tumhaari maut ki sacchi khabar jis ne udaai thi
vo jhoota tha
vo tum kab the
koi sookha hua patta hawa se mil ke toota tha
meri aankhen
tumhaare manzaron mein qaid hain ab tak
main jo bhi dekhta hoon
sochta hoon
vo wahi hai
jo tumhaari nek-naami aur bad-naami ki duniya thi
kahi kuchh bhi nahin badla
tumhaare haath meri ungliyon mein saans lete hain
main likhne ke liye
jab bhi qalam kaaghaz uthaata hoon
tumhein baitha hua main apni hi kursi mein paata hoon
badan mein mere jitna bhi lahu hai
vo tumhaari
lagzishon naakaamiyon ke saath bahta hai
meri awaaz mein chhup kar
tumhaara zehan rehta hai
meri bimaariyon mein tum
meri laachaariyon mein tum
tumhaari qabr par jis ne tumhaara naam likha hai
vo jhoota hai
tumhaari qabr mein main dafn hoon
tum mujh mein zinda ho
kabhi furqat mile to faatiha padhne chale aana

"वालिद की वफ़ात पर"

तुम्हारी क़ब्र पर
मैं फ़ातिहा पढ़ने नहीं आया
मुझे मालूम था
तुम मर नहीं सकते
तुम्हारी मौत की सच्ची ख़बर जिस ने उड़ाई थी
वो झूटा था
वो तुम कब थे
कोई सूखा हुआ पत्ता हवा से मिल के टूटा था
मिरी आँखें
तुम्हारे मंज़रों में क़ैद हैं अब तक
मैं जो भी देखता हूँ
सोचता हूँ
वो वही है
जो तुम्हारी नेक-नामी और बद-नामी की दुनिया थी
कहीं कुछ भी नहीं बदला
तुम्हारे हाथ मेरी उँगलियों में साँस लेते हैं
मैं लिखने के लिए
जब भी क़लम काग़ज़ उठाता हूँ
तुम्हें बैठा हुआ मैं अपनी ही कुर्सी में पाता हूँ
बदन में मेरे जितना भी लहू है
वो तुम्हारी
लग़्ज़िशों नाकामियों के साथ बहता है
मिरी आवाज़ में छुप कर
तुम्हारा ज़ेहन रहता है
मिरी बीमारियों में तुम
मिरी लाचारियों में तुम
तुम्हारी क़ब्र पर जिस ने तुम्हारा नाम लिखा है
वो झूटा है
तुम्हारी क़ब्र में मैं दफ़्न हूँ
तुम मुझ में ज़िंदा हो
कभी फ़ुर्सत मिले तो फ़ातिहा पढ़ने चले आना

  - Nida Fazli

Crime Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nida Fazli

As you were reading Shayari by Nida Fazli

Similar Writers

our suggestion based on Nida Fazli

Similar Moods

As you were reading Crime Shayari Shayari