jeet uski ho har ik baar zaroori to nahin | जीत उसकी हो हर इक बार ज़रूरी तो नहीं

  - Nityanand Vajpayee

jeet uski ho har ik baar zaroori to nahin
yun hi sajta rahe darbaar zaroori to nahin

jhooth uska na abhi khulke hai aage aaya
yun hi bachta rahe makkaar zaroori to nahin

nekiyaan aur bachi kuchh jo unhen jee le tu
kal bhi hogi teri jaykaar zaroori to nahin

uske karmon ki saza degi use qudrat khud
main banuun uska gunahgaar zaroori to nahin

khoon har baar hi maasoom bahaayein apna
aur palta rahe gaddaar zaroori to nahin

nitya ik roz kahi maut to aayegi use
yun hi badhti rahe raftaar zaroori to nahin

जीत उसकी हो हर इक बार ज़रूरी तो नहीं
यूँ ही' सजता रहे दरबार ज़रूरी तो नहीं

झूठ उसका न अभी खुलके है आगे आया
यूँ ही बचता रहे मक्कार ज़रूरी तो नहीं

नेकियाँ और बची कुछ जो उन्हें जी ले तू
कल भी होगी तेरी जयकार ज़रूरी तो नहीं

उसके कर्मों की सज़ा देगी उसे क़ुदरत ख़ुद
मैं बनूँ उसका गुनहगार ज़रूरी तो नहीं

ख़ून हर बार ही मासूम बहाएँ अपना
और पलता रहे ग़द्दार ज़रूरी तो नहीं

'नित्य' इक रोज़ कहीं मौत तो आएगी उसे
यूँ ही बढ़ती रहे रफ़्तार ज़रूरी तो नहीं

  - Nityanand Vajpayee

Gunaah Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nityanand Vajpayee

As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee

Similar Writers

our suggestion based on Nityanand Vajpayee

Similar Moods

As you were reading Gunaah Shayari Shayari