rahi bas ab gamon ki raat thodi
hui hai hijr ki milqaat thodi
hiqaarat chhod kar aao karein ham
muhabbat ki muqaddas baat thodi
adhiktar bhediye firte jahaan mein
bachi hai ab bashar ki zaat thodi
ganwaaye ja rahe kyun nafratoin mein
mili jo umr ki sougaat thodi
sharaafat mein hi guzre ab khuda-ra
bachi hai saanson ki khairaat thodi
mahak kirdaar ki hoti mukammal
hai chehre ki bahut auqaat thodi
faqat upamanyu tum le ja sakoge
kafan aur phoolon ki ne'maat thodi
रही बस अब ग़मों की रात थोड़ी
हुई है हिज्र की मिलक़ात थोड़ी
हिक़ारत छोड़ कर आओ करें हम
मुहब्बत की मुक़द्दस बात थोड़ी
अधिकतर भेड़िए फिरते जहां में
बची है अब बशर की ज़ात थोड़ी
गँवाए जा रहे क्यों नफ़रतों में
मिली जो उम्र की सौग़ात थोड़ी
शराफ़त में ही गुज़रे अब ख़ुदा-रा
बची है साँसों की ख़ैरात थोड़ी
महक किरदार की होती मुकम्मल
है चेहरे की बहुत औक़ात थोड़ी
फ़क़त "उपमन्यु" तुम ले जा सकोगे
कफ़न और फूलों की ने'मात थोड़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Nityanand Vajpayee
our suggestion based on Nityanand Vajpayee
As you were reading Tevar Shayari Shayari