the sab ke haath mein khanjar sawaal kya karta
main be-gunaahi ka apni malaal kya karta
usi ke ek ishaare pe qatl-e-aam hua
ameer-e-shahr se main arz-e-haal kiya karta
main qaatilon ki nigaahon se bach ke bhag aaya
ki mere saath the mere ayaal kya karta
dharm ke naam par insaaniyat ki nasl-kushi
zamaana aisi bhi qaaim misaal kya karta
jale makaan jale jism jal-bujha sab kuchh
vo is se badh ke hamein paayemaal kya karta
bate hue hain humi apne apne khaanon mein
hamaara warna koi aisa haal kya karta
थे सब के हाथ में ख़ंजर सवाल क्या करता
मैं बे-गुनाही का अपनी मलाल क्या करता
उसी के एक इशारे पे क़त्ल-ए-आम हुआ
अमीर-ए-शहर से मैं अर्ज़-ए-हाल किया करता
मैं क़ातिलों की निगाहों से बच के भाग आया
कि मेरे साथ थे मेरे अयाल क्या करता
धरम के नाम पर इंसानियत की नस्ल-कुशी
ज़माना ऐसी भी क़ाएम मिसाल क्या करता
जले मकान जले जिस्म जल-बुझा सब कुछ
वो इस से बढ़ के हमें पाएमाल क्या करता
बटे हुए हैं हमी अपने अपने ख़ानों में
हमारा वर्ना कोई ऐसा हाल क्या करता
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Noor muniri
As you were reading Badan Shayari Shayari