chaarasaazon ki aziyyat nahin dekhi jaati
tere beemaar ki haalat nahin dekhi jaati
dene waale ki mashiyyat pe hai sab kuchh mauqoof
maangne waale ki haajat nahin dekhi jaati
din bahl jaata hai lekin tire deewaanon ki
shaam hoti hai to vehshat nahin dekhi jaati
tamkanat se tujhe ruksat to kiya hai lekin
ham se in aankhon ki hasrat nahin dekhi jaati
kaun utara hai ye aafaq ki pahnaai mein
aaina-khaane ki hairat nahin dekhi jaati
चारासाज़ों की अज़िय्यत नहीं देखी जाती
तेरे बीमार की हालत नहीं देखी जाती
देने वाले की मशिय्यत पे है सब कुछ मौक़ूफ़
माँगने वाले की हाजत नहीं देखी जाती
दिन बहल जाता है लेकिन तिरे दीवानों की
शाम होती है तो वहशत नहीं देखी जाती
तमकनत से तुझे रुख़्सत तो किया है लेकिन
हम से इन आँखों की हसरत नहीं देखी जाती
कौन उतरा है ये आफ़ाक़ की पहनाई में
आइना-ख़ाने की हैरत नहीं देखी जाती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Greed Shayari Shayari