mushkil hai ki ab shehar mein nikle koi ghar se | मुश्किल है कि अब शहर में निकले कोई घर से

  - Parveen Shakir

mushkil hai ki ab shehar mein nikle koi ghar se
dastaar pe baat aa gai hoti hui sar se

barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
ik umr mere khet the jis abr ko tarse

kal raat jo eendhan ke liye kat ke gira hai
chidiyon ko bada pyaar tha us boodhe shajar se

mehnat meri aandhi se to mansoob nahin thi
rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se

khud apne se milne ka to yaara na tha mujh mein
main bheed mein gum ho gai tanhaai ke dar se

be-naam masafat hi muqaddar hai to kya gham
manzil ka ta'ayyun kabhi hota hai safar se

pathraaya hai dil yoon ki koi ism padha jaaye
ye shehar nikalta nahin jaadu ke asar se

nikle hain to raaste mein kahi shaam bhi hogi
suraj bhi magar aayega is raahguzaar se

मुश्किल है कि अब शहर में निकले कोई घर से
दस्तार पे बात आ गई होती हुई सर से

बरसा भी तो किस दश्त के बे-फ़ैज़ बदन पर
इक उम्र मिरे खेत थे जिस अब्र को तरसे

कल रात जो ईंधन के लिए कट के गिरा है
चिड़ियों को बड़ा प्यार था उस बूढ़े शजर से

मेहनत मिरी आंधी से तो मंसूब नहीं थी
रहना था कोई रब्त शजर का भी समर से

ख़ुद अपने से मिलने का तो यारा न था मुझ में
मैं भीड़ में गुम हो गई तन्हाई के डर से

बे-नाम मसाफ़त ही मुक़द्दर है तो क्या ग़म
मंज़िल का तअय्युन कभी होता है सफ़र से

पथराया है दिल यूं कि कोई इस्म पढ़ा जाए
ये शहर निकलता नहीं जादू के असर से

निकले हैं तो रस्ते में कहीं शाम भी होगी
सूरज भी मगर आएगा इस रहगुज़र से

  - Parveen Shakir

Budhapa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Budhapa Shayari Shayari