ek suraj tha ki taaron ke gharaane se utha | एक सूरज था कि तारों के घराने से उठा - Parveen Shakir

ek suraj tha ki taaron ke gharaane se utha
aankh hairaan hai kya shakhs zamaane se utha

kis se poochoon tire aqaa ka pata ai rahvaar
ye alam vo hai na ab tak kisi shaane se utha

halka-e-khwab ko hi gird-e-guloo kas daala
dasht-e-qaatil ka bhi ehsaan na deewane se utha

phir koi aks shua'on se na banne paaya
kaisa mahtaab mere aaina-khaane se utha

kya likha tha sar-e-mahzar jise pahchaante hi
paas baitha hua har dost bahaane se utha

एक सूरज था कि तारों के घराने से उठा
आँख हैरान है क्या शख़्स ज़माने से उठा

किस से पूछूँ तिरे आक़ा का पता ऐ रहवार
ये अलम वो है न अब तक किसी शाने से उठा

हल्क़ा-ए-ख़्वाब को ही गिर्द-ए-गुलू कस डाला
दस्त-ए-क़ातिल का भी एहसाँ न दिवाने से उठा

फिर कोई अक्स शुआ'ओं से न बनने पाया
कैसा महताब मिरे आइना-ख़ाने से उठा

क्या लिखा था सर-ए-महज़र जिसे पहचानते ही
पास बैठा हुआ हर दोस्त बहाने से उठा

- Parveen Shakir
2 Likes

Dosti Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Dosti Shayari Shayari