shaq-e-raqs se jab tak ungaliyaan nahin khultin
paanv se hawaon ke bediyaan nahin khultin
ped ko dua de kar kat gai bahaaron se
phool itne badh aaye khidkiyaan nahin khultin
phool ban ke sairon mein aur kaun shaamil tha
shokhi-e-saba se to baaliyan nahin khultin
husn ke samajhne ko umr chahiye jaanaan
do ghadi ki chaahat mein ladkiyaan nahin khultin
koi mauja-e-sheereen choom kar jagaaegi
surjon ke nezon se seepiyaan nahin khultin
maa se kya kahegi dukh hijr ka ki khud par bhi
itni chhoti umron ki bacchiyaan nahin khultin
shaakh shaakh sargardaan kis ki justuju mein hain
kaun se safar mein hain titliyan nahin khultin
aadhi raat ki chup mein kis ki chaap ubharti hai
chat pe kaun aata hai seedhiyaan nahin khultin
paaniyon ke chadhne tak haal kah saken aur phir
kya qayaamaatein guzriin bastiyaan nahin khultin
शौक़-ए-रक़्स से जब तक उँगलियाँ नहीं खुलतीं
पाँव से हवाओं के बेड़ियाँ नहीं खुलतीं
पेड़ को दुआ दे कर कट गई बहारों से
फूल इतने बढ़ आए खिड़कियाँ नहीं खुलतीं
फूल बन के सैरों में और कौन शामिल था
शोख़ी-ए-सबा से तो बालियाँ नहीं खुलतीं
हुस्न के समझने को उम्र चाहिए जानाँ
दो घड़ी की चाहत में लड़कियाँ नहीं खुलतीं
कोई मौजा-ए-शीरीं चूम कर जगाएगी
सूरजों के नेज़ों से सीपियाँ नहीं खुलतीं
माँ से क्या कहेंगी दुख हिज्र का कि ख़ुद पर भी
इतनी छोटी उम्रों की बच्चियाँ नहीं खुलतीं
शाख़ शाख़ सरगर्दां किस की जुस्तुजू में हैं
कौन से सफ़र में हैं तितलियाँ नहीं खुलतीं
आधी रात की चुप में किस की चाप उभरती है
छत पे कौन आता है सीढ़ियाँ नहीं खुलतीं
पानियों के चढ़ने तक हाल कह सकें और फिर
क्या क़यामतें गुज़रीं बस्तियाँ नहीं खुलतीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Sad Shayari Shayari