dasne lage hain khwaab magar kis se boliye | डसने लगे हैं ख़्वाब मगर किस से बोलिए - Parveen Shakir

dasne lage hain khwaab magar kis se boliye
main jaanti thi paal rahi hoon sampoliye

bas ye hua ki us ne takalluf se baat ki
aur hum ne rote rote dupatte bhigo liye

palkon pe kacchi neendon ka ras phailta ho jab
aise mein aankh dhoop ke rukh kaise kholie

teri barhana-paai ke dukh baante hue
hum ne khud apne paanv mein kaante chubho liye

main tera naam le ke tazbzub mein pad gai
sab log apne apne azeezon ko ro liye

khush-boo kahi na jaaye p israar hai bahut
aur ye bhi aarzoo ki zara zulf kholie

tasveer jab nayi hai naya canvas bhi hai
phir tashtari mein rang purane na gholiye

डसने लगे हैं ख़्वाब मगर किस से बोलिए
मैं जानती थी पाल रही हूँ संपोलिए

बस ये हुआ कि उस ने तकल्लुफ़ से बात की
और हम ने रोते रोते दुपट्टे भिगो लिए

पलकों पे कच्ची नींदों का रस फैलता हो जब
ऐसे में आँख धूप के रुख़ कैसे खोलिए

तेरी बरहना-पाई के दुख बाँटते हुए
हम ने ख़ुद अपने पाँव में काँटे चुभो लिए

मैं तेरा नाम ले के तज़ब्ज़ुब में पड़ गई
सब लोग अपने अपने अज़ीज़ों को रो लिए

ख़ुश-बू कहीं न जाए प इसरार है बहुत
और ये भी आरज़ू कि ज़रा ज़ुल्फ़ खोलिए

तस्वीर जब नई है नया कैनवस भी है
फिर तश्तरी में रंग पुराने न घोलिए

- Parveen Shakir
2 Likes

Udas Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Udas Shayari Shayari