bichhda hai jo ik baar to milte nahin dekha
is zakham ko ham ne kabhi silte nahin dekha
ik baar jise chaat gai dhoop ki khwaahish
phir shaakh pe us phool ko khilte nahin dekha
yak-lakht gira hai to jaden tak nikal aayein
jis ped ko aandhi mein bhi hilte nahin dekha
kaanton mein ghire phool ko choom aayegi lekin
titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha
kis tarah meri rooh hari kar gaya aakhir
vo zahar jise jism mein khilte nahin dekha
बिछड़ा है जो इक बार तो मिलते नहीं देखा
इस ज़ख़्म को हम ने कभी सिलते नहीं देखा
इक बार जिसे चाट गई धूप की ख़्वाहिश
फिर शाख़ पे उस फूल को खिलते नहीं देखा
यक-लख़्त गिरा है तो जड़ें तक निकल आईं
जिस पेड़ को आँधी में भी हिलते नहीं देखा
काँटों में घिरे फूल को चूम आएगी लेकिन
तितली के परों को कभी छिलते नहीं देखा
किस तरह मिरी रूह हरी कर गया आख़िर
वो ज़हर जिसे जिस्म में खिलते नहीं देखा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Gulshan Shayari Shayari