baarish hui to phoolon ke tan chaak ho gaye
mausam ke haath bheeg ke saffaaq ho gaye
baadal ko kya khabar hai ki baarish ki chaah mein
kaise buland-o-baala shajar khaak ho gaye
jugnoo ko din ke waqt parkhne ki zid karein
bacche hamaare ahad ke chaalaak ho gaye
lahara rahi hai barf ki chadar hata ke ghaas
suraj ki shah pe tinke bhi bebaak ho gaye
basti mein jitne aab-gazeeda the sab ke sab
dariya ke rukh badalte hi tairaak ho gaye
soorj-dimaagh log bhi ablaagh-e-fikr mein
zulf-e-shab-e-firaq ke pechaak ho gaye
jab bhi ghareeb-e-shehr se kuchh guftugoo hui
lehje hawaa-e-shaam ke namnaak ho gaye
बारिश हुई तो फूलों के तन चाक हो गए
मौसम के हाथ भीग के सफ़्फ़ाक हो गए
बादल को क्या ख़बर है कि बारिश की चाह में
कैसे बुलंद-ओ-बाला शजर ख़ाक हो गए
जुगनू को दिन के वक़्त परखने की ज़िद करें
बच्चे हमारे अहद के चालाक हो गए
लहरा रही है बर्फ़ की चादर हटा के घास
सूरज की शह पे तिनके भी बेबाक हो गए
बस्ती में जितने आब-गज़ीदा थे सब के सब
दरिया के रुख़ बदलते ही तैराक हो गए
सूरज-दिमाग़ लोग भी अबलाग़-ए-फ़िक्र में
ज़ुल्फ़-ए-शब-ए-फ़िराक़ के पेचाक हो गए
जब भी ग़रीब-ए-शहर से कुछ गुफ़्तुगू हुई
लहजे हवा-ए-शाम के नमनाक हो गए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Shajar Shayari Shayari