ab bhala chhod ke ghar kya karte | अब भला छोड़ के घर क्या करते - Parveen Shakir

ab bhala chhod ke ghar kya karte
shaam ke waqt safar kya karte

teri masroofiyaten jaante hain
apne aane ki khabar kya karte

jab sitaare hi nahin mil paaye
le ke hum shams-o-qamar kya karte

vo musaafir hi khuli dhoop ka tha
saaye faila ke shajar kya karte

khaak hi awwal o aakhir thehri
kar ke zarre ko guhar kya karte

raay pehle se bana li tu ne
dil mein ab hum tire ghar kya karte

ishq ne saare saleeke bakshe
husn se kasb-e-hunar kya karte

अब भला छोड़ के घर क्या करते
शाम के वक़्त सफ़र क्या करते

तेरी मसरूफ़ियतें जानते हैं
अपने आने की ख़बर क्या करते

जब सितारे ही नहीं मिल पाए
ले के हम शम्स-ओ-क़मर क्या करते

वो मुसाफ़िर ही खुली धूप का था
साए फैला के शजर क्या करते

ख़ाक ही अव्वल ओ आख़िर ठहरी
कर के ज़र्रे को गुहर क्या करते

राय पहले से बना ली तू ने
दिल में अब हम तिरे घर क्या करते

इश्क़ ने सारे सलीक़े बख़्शे
हुस्न से कस्ब-ए-हुनर क्या करते

- Parveen Shakir
1 Like

Garmi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Garmi Shayari Shayari