kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaaungi | कमाल-ए-ज़ब्त को ख़ुद भी तो आज़माऊँगी

  - Parveen Shakir

kamaal-e-zabt ko khud bhi to aazmaaungi
main apne haath se us ki dulhan sajaungi

supurd kar ke use chaandni ke haathon mein
main apne ghar ke andheron ko laut aaungi

badan ke karb ko vo bhi samajh na paayega
main dil mein rooongi aankhon mein muskuraaungi

vo kya gaya ki rifaqat ke saare lutf gaye
main kis se rooth sakungi kise manaaungi

ab us ka fan to kisi aur se hua mansoob
main kis ki nazm akela mein gungunaaungi

vo ek rishta-e-benaam bhi nahin lekin
main ab bhi us ke ishaaron pe sar jhukaaungi

bichha diya tha gulaabon ke saath apna vujood
vo so ke utthe to khwaabon ki raakh uthaaungi

samaa'aton mein ghane junglon ki saansen hain
main ab kabhi tiri awaaz sun na paaungi

javaaz dhundh raha tha nayi mohabbat ka
vo kah raha tha ki main us ko bhool jaoongi

कमाल-ए-ज़ब्त को ख़ुद भी तो आज़माऊँगी
मैं अपने हाथ से उस की दुल्हन सजाऊँगी

सुपुर्द कर के उसे चाँदनी के हाथों में
मैं अपने घर के अँधेरों को लौट आऊँगी

बदन के कर्ब को वो भी समझ न पाएगा
मैं दिल में रोऊँगी आँखों में मुस्कुराऊँगी

वो क्या गया कि रिफ़ाक़त के सारे लुत्फ़ गए
मैं किस से रूठ सकूँगी किसे मनाऊँगी

अब उस का फ़न तो किसी और से हुआ मंसूब
मैं किस की नज़्म अकेले में गुनगुनाऊँगी

वो एक रिश्ता-ए-बेनाम भी नहीं लेकिन
मैं अब भी उस के इशारों पे सर झुकाऊँगी

बिछा दिया था गुलाबों के साथ अपना वजूद
वो सो के उट्ठे तो ख़्वाबों की राख उठाऊँगी

समाअ'तों में घने जंगलों की साँसें हैं
मैं अब कभी तिरी आवाज़ सुन न पाऊँगी

जवाज़ ढूँड रहा था नई मोहब्बत का
वो कह रहा था कि मैं उस को भूल जाऊँगी

  - Parveen Shakir

Friendship Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Friendship Shayari Shayari