taraash kar mere baazu udaan chhod gaya
hawa ke paas barhana kamaan chhod gaya
rafaqaton ka meri us ko dhyaan kitna tha
zameen le li magar aasmaan chhod gaya
ajeeb shakhs tha baarish ka rang dekh ke bhi
khule dariche pe ik phool-daana chhod gaya
jo baadlon se bhi mujh ko chhupaaye rakhta tha
badhi hai dhoop to be-saayebaan chhod gaya
nikal gaya kahi an-dekhe paaniyon ki taraf
zameen ke naam khula baadbaan chhod gaya
uqaab ko thi garz faakhta pakadne se
jo gir gai to yoonhi neem-jaan chhod gaya
na jaane kaun sa aaseb dil mein basta hai
ki jo bhi thehra vo aakhir makaan chhod gaya
aqab mein gahra samundar hai saamne jungle
kis intiha pe mera mehrbaan chhod gaya
तराश कर मिरे बाज़ू उड़ान छोड़ गया
हवा के पास बरहना कमान छोड़ गया
रफ़ाक़तों का मिरी उस को ध्यान कितना था
ज़मीन ले ली मगर आसमान छोड़ गया
अजीब शख़्स था बारिश का रंग देख के भी
खुले दरीचे पे इक फूल-दान छोड़ गया
जो बादलों से भी मुझ को छुपाए रखता था
बढ़ी है धूप तो बे-साएबान छोड़ गया
निकल गया कहीं अन-देखे पानियों की तरफ़
ज़मीं के नाम खुला बादबान छोड़ गया
उक़ाब को थी ग़रज़ फ़ाख़्ता पकड़ने से
जो गिर गई तो यूँही नीम-जान छोड़ गया
न जाने कौन सा आसेब दिल में बस्ता है
कि जो भी ठहरा वो आख़िर मकान छोड़ गया
अक़ब में गहरा समुंदर है सामने जंगल
किस इंतिहा पे मिरा मेहरबान छोड़ गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Dil Shayari Shayari