tooti hai meri neend magar tum ko is se kya | टूटी है मेरी नींद मगर तुम को इस से क्या - Parveen Shakir

tooti hai meri neend magar tum ko is se kya
bajte rahein hawaon se dar tum ko is se kya

tum mauj mauj misl-e-saba ghoomte raho
kat jaayen meri soch ke par tum ko is se kya

auron ka haath thaamo unhen raasta dikhaao
main bhool jaaun apna hi ghar tum ko is se kya

abr-e-gurez-pa ko barsne se kya garz
seepi mein ban na paaye guhar tum ko is se kya

le jaayen mujh ko maal-e-ghaneemat ke saath adoo
tum ne to daal di hai sipar tum ko is se kya

tum ne to thak ke dasht mein kheme laga liye
tanhaa kate kisi ka safar tum ko is se kya

टूटी है मेरी नींद मगर तुम को इस से क्या
बजते रहें हवाओं से दर तुम को इस से क्या

तुम मौज मौज मिस्ल-ए-सबा घूमते रहो
कट जाएँ मेरी सोच के पर तुम को इस से क्या

औरों का हाथ थामो उन्हें रास्ता दिखाओ
मैं भूल जाऊँ अपना ही घर तुम को इस से क्या

अब्र-ए-गुरेज़-पा को बरसने से क्या ग़रज़
सीपी में बन न पाए गुहर तुम को इस से क्या

ले जाएँ मुझ को माल-ए-ग़नीमत के साथ अदू
तुम ने तो डाल दी है सिपर तुम को इस से क्या

तुम ने तो थक के दश्त में खे़मे लगा लिए
तन्हा कटे किसी का सफ़र तुम को इस से क्या

- Parveen Shakir
1 Like

Neend Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Neend Shayari Shayari