gawaahi kaise tootti mua'amla khuda ka tha
mera aur us ka raabta to haath aur dua ka tha
gulaab qiimat-e-shagufta shaam tak chuka sake
ada vo dhoop ko hua jo qarz bhi saba ka tha
bikhar gaya hai phool to humeen se pooch-gach hui
hisaab baagbaan se hai kiya-dhara hawa ka tha
lahu-chasheeda haath us ne choom kar dikha diya
jazaa wahan mili jahaan ki marhala saza ka tha
jo baarishon se qibl apna rizq ghar mein bhar chuka
vo shehr-e-mor se na tha p doorbeen bala ka tha
गवाही कैसे टूटती मुआ'मला ख़ुदा का था
मिरा और उस का राब्ता तो हाथ और दुआ का था
गुलाब क़ीमत-ए-शगुफ़्त शाम तक चुका सके
अदा वो धूप को हुआ जो क़र्ज़ भी सबा का था
बिखर गया है फूल तो हमीं से पूछ-गछ हुई
हिसाब बाग़बाँ से है किया-धरा हवा का था
लहू-चशीदा हाथ उस ने चूम कर दिखा दिया
जज़ा वहाँ मिली जहाँ कि मरहला सज़ा का था
जो बारिशों से क़ब्ल अपना रिज़्क़ घर में भर चुका
वो शहर-ए-मोर से न था प दूरबीं बला का था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Ujaala Shayari Shayari