teri khushboo ka pata karti hai
mujh pe ehsaan hawa karti hai
choom kar phool ko aahista se
mojza baad-e-saba karti hai
khol kar band-e-qaba gul ke hawa
aaj khushboo ko rihaa karti hai
abr barsate to inaayat us ki
shaakh to sirf dua karti hai
zindagi phir se fazaa mein raushan
mishal-e-barg-e-hina karti hai
ham ne dekhi hai vo ujli saaat
raat jab sher kaha karti hai
shab ki tanhaai mein ab to akshar
guftugoo tujh se raha karti hai
dil ko us raah pe chalna hi nahin
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kehne mein raha karti hai
us ne dekha hi nahin warna ye aankh
dil ka ahvaal kaha karti hai
musahaf-e-dil pe ajab rangon mein
ek tasveer bana karti hai
be-niyaaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karti hai
dekh tu aan ke chehra mera
ik nazar bhi tiri kya karti hai
zindagi bhar ki ye taakheer apni
ranj milne ka siva karti hai
shaam padte hi kisi shakhs ki yaad
koocha-e-jaan mein sada karti hai
mas'ala jab bhi charaagon ka utha
faisla sirf hawa karti hai
mujh se bhi us ka hai waisa hi sulook
haal jo tera ana karti hai
dukh hua karta hai kuchh aur bayaan
baat kuchh aur hua karti hai
तेरी ख़ुश्बू का पता करती है
मुझ पे एहसान हवा करती है
चूम कर फूल को आहिस्ता से
मोजज़ा बाद-ए-सबा करती है
खोल कर बंद-ए-क़बा गुल के हवा
आज ख़ुश्बू को रिहा करती है
अब्र बरसते तो इनायत उस की
शाख़ तो सिर्फ़ दुआ करती है
ज़िंदगी फिर से फ़ज़ा में रौशन
मिशअल-ए-बर्ग-ए-हिना करती है
हम ने देखी है वो उजली साअत
रात जब शेर कहा करती है
शब की तन्हाई में अब तो अक्सर
गुफ़्तुगू तुझ से रहा करती है
दिल को उस राह पे चलना ही नहीं
जो मुझे तुझ से जुदा करती है
ज़िंदगी मेरी थी लेकिन अब तो
तेरे कहने में रहा करती है
उस ने देखा ही नहीं वर्ना ये आँख
दिल का अहवाल कहा करती है
मुसहफ़-ए-दिल पे अजब रंगों में
एक तस्वीर बना करती है
बे-नियाज़-ए-कफ़-ए-दरिया अंगुश्त
रेत पर नाम लिखा करती है
देख तू आन के चेहरा मेरा
इक नज़र भी तिरी क्या करती है
ज़िंदगी भर की ये ताख़ीर अपनी
रंज मिलने का सिवा करती है
शाम पड़ते ही किसी शख़्स की याद
कूचा-ए-जाँ में सदा करती है
मसअला जब भी चराग़ों का उठा
फ़ैसला सिर्फ़ हवा करती है
मुझ से भी उस का है वैसा ही सुलूक
हाल जो तेरा अना करती है
दुख हुआ करता है कुछ और बयाँ
बात कुछ और हुआ करती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Raat Shayari Shayari