aks-e-khushboo hoon bikharna se na roke koi
aur bikhar jaaun to mujh ko na samete koi
kaanp uthati hoon main ye soch ke tanhaai mein
mere chehre pe tira naam na padh le koi
jis tarah khwaab mere ho gaye reza reza
us tarah se na kabhi toot ke bikhre koi
main to us din se hiraasaan hoon ki jab hukm mile
khushk phoolon ko kitaabon mein na rakhe koi
ab to is raah se vo shakhs guzarta bhi nahin
ab kis ummeed pe darwaaze se jhaanke koi
koi aahat koi awaaz koi chaap nahin
dil ki galiyaan badi sunsaan hain aaye koi
अक्स-ए-ख़ुशबू हूँ बिखरने से न रोके कोई
और बिखर जाऊँ तो मुझ को न समेटे कोई
काँप उठती हूँ मैं ये सोच के तन्हाई में
मेरे चेहरे पे तिरा नाम न पढ़ ले कोई
जिस तरह ख़्वाब मिरे हो गए रेज़ा रेज़ा
उस तरह से न कभी टूट के बिखरे कोई
मैं तो उस दिन से हिरासाँ हूँ कि जब हुक्म मिले
ख़ुश्क फूलों को किताबों में न रक्खे कोई
अब तो इस राह से वो शख़्स गुज़रता भी नहीं
अब किस उम्मीद पे दरवाज़े से झाँके कोई
कोई आहट कोई आवाज़ कोई चाप नहीं
दिल की गलियाँ बड़ी सुनसान हैं आए कोई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Aahat Shayari Shayari