bakht se koi shikaayat hai na aflaak se hai
yahi kya kam hai ki nisbat mujhe is khaak se hai
khwaab mein bhi tujhe bhoolun to rawa rakh mujh se
vo ravayya jo hawa ka khas-o-khaashaak se hai
bazm-e-anjum mein qaba khaak ki pahni main ne
aur meri saari fazilat isee poshaak se hai
itni raushan hai tiri subh ki hota hai gumaan
ye ujaala to kisi deeda-e-namunaak se hai
haath to kaat diye kooza-garon ke ham ne
mo'jize ki wahi ummeed magar chaak se hai
बख़्त से कोई शिकायत है न अफ़्लाक से है
यही क्या कम है कि निस्बत मुझे इस ख़ाक से है
ख़्वाब में भी तुझे भूलूँ तो रवा रख मुझ से
वो रवय्या जो हवा का ख़स-ओ-ख़ाशाक से है
बज़्म-ए-अंजुम में क़बा ख़ाक की पहनी मैं ने
और मिरी सारी फ़ज़ीलत इसी पोशाक से है
इतनी रौशन है तिरी सुब्ह कि होता है गुमाँ
ये उजाला तो किसी दीदा-ए-नमनाक से है
हाथ तो काट दिए कूज़ा-गरों के हम ने
मो'जिज़े की वही उम्मीद मगर चाक से है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Hawa Shayari Shayari