dhanak dhanak meri poron ke khwaab kar dega
vo lams mere badan ko gulaab kar dega
qaba-e-jism ke har taar se guzarta hua
kiran ka pyaar mujhe aftaab kar dega
junoon-pasand hai dil aur tujh tak aane mein
badan ko naav lahu ko chanaab kar dega
main sach kahoongi magar phir bhi haar jaoongi
vo jhooth bolega aur la-jawaab kar dega
ana-parast hai itna ki baat se pehle
vo uth ke band meri har kitaab kar dega
sukoot-e-shehr-e-sukhan mein vo phool sa lahja
samaa'aton ki fazaa khwaab khwaab kar dega
isee tarah se agar chahta raha paiham
sukhan-vari mein mujhe intikhaab kar dega
meri tarah se koi hai jo zindagi apni
tumhaari yaad ke naam intisaab kar dega
धनक धनक मिरी पोरों के ख़्वाब कर देगा
वो लम्स मेरे बदन को गुलाब कर देगा
क़बा-ए-जिस्म के हर तार से गुज़रता हुआ
किरन का प्यार मुझे आफ़्ताब कर देगा
जुनूँ-पसंद है दिल और तुझ तक आने में
बदन को नाव लहू को चनाब कर देगा
मैं सच कहूँगी मगर फिर भी हार जाऊँगी
वो झूट बोलेगा और ला-जवाब कर देगा
अना-परस्त है इतना कि बात से पहले
वो उठ के बंद मिरी हर किताब कर देगा
सुकूत-ए-शहर-ए-सुख़न में वो फूल सा लहजा
समाअ'तों की फ़ज़ा ख़्वाब ख़्वाब कर देगा
इसी तरह से अगर चाहता रहा पैहम
सुख़न-वरी में मुझे इंतिख़ाब कर देगा
मिरी तरह से कोई है जो ज़िंदगी अपनी
तुम्हारी याद के नाम इंतिसाब कर देगा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Environment Shayari Shayari