harf-e-taaza nayi khushboo mein likha chahta hai
baab ik aur mohabbat ka khula chahta hai
ek lamhe ki tavajjoh nahin haasil us ki
aur ye dil ki use had se siva chahta hai
ik hijaab-e-tah-e-iqraar hai maane warna
gul ko maaloom hai kya dast-e-saba chahta hai
ret hi ret hai is dil mein musaafir mere
aur ye sehra tira naqsh-e-kaf-e-paa chahta hai
yahi khaamoshi kai rang mein zaahir hogi
aur kuchh roz ki vo shokh khula chahta hai
raat ko maan liya dil ne muqaddar lekin
raat ke haath pe ab koi diya chahta hai
tere paimaane mein gardish nahin baaki saaqi
aur tiri bazm se ab koi utha chahta hai
हर्फ़-ए-ताज़ा नई ख़ुशबू में लिखा चाहता है
बाब इक और मोहब्बत का खुला चाहता है
एक लम्हे की तवज्जोह नहीं हासिल उस की
और ये दिल कि उसे हद से सिवा चाहता है
इक हिजाब-ए-तह-ए-इक़रार है माने वर्ना
गुल को मालूम है क्या दस्त-ए-सबा चाहता है
रेत ही रेत है इस दिल में मुसाफ़िर मेरे
और ये सहरा तिरा नक़्श-ए-कफ़-ए-पा चाहता है
यही ख़ामोशी कई रंग में ज़ाहिर होगी
और कुछ रोज़ कि वो शोख़ खुला चाहता है
रात को मान लिया दिल ने मुक़द्दर लेकिन
रात के हाथ पे अब कोई दिया चाहता है
तेरे पैमाने में गर्दिश नहीं बाक़ी साक़ी
और तिरी बज़्म से अब कोई उठा चाहता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Good night Shayari Shayari