ik hunar tha kamaal tha kya tha
mujh mein tera jamaal tha kya tha
tere jaane pe ab ke kuchh na kaha
dil mein dar tha malaal tha kya tha
barq ne mujh ko kar diya raushan
tera aks-e-jalaal tha kya tha
ham tak aaya tu bahr-e-lutf-o-karam
tera waqt-e-zawaal tha kya tha
jis ne tah se mujhe uchaal diya
doobne ka khayal tha kya tha
jis pe dil saare ahad bhool gaya
bhoolne ka sawaal tha kya tha
titliyan the ham aur qaza ke paas
surkh phoolon ka jaal tha kya tha
इक हुनर था कमाल था क्या था
मुझ में तेरा जमाल था क्या था
तेरे जाने पे अब के कुछ न कहा
दिल में डर था मलाल था क्या था
बर्क़ ने मुझ को कर दिया रौशन
तेरा अक्स-ए-जलाल था क्या था
हम तक आया तू बहर-ए-लुत्फ़-ओ-करम
तेरा वक़्त-ए-ज़वाल था क्या था
जिस ने तह से मुझे उछाल दिया
डूबने का ख़याल था क्या था
जिस पे दिल सारे अहद भूल गया
भूलने का सवाल था क्या था
तितलियाँ थे हम और क़ज़ा के पास
सुर्ख़ फूलों का जाल था क्या था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Tasawwur Shayari Shayari