khuli aankhon mein sapna jhaankta hai
vo soya hai ki kuchh kuchh jaagta hai
tiri chaahat ke bheege junglon mein
mera tan mor ban kar naachta hai
mujhe har kaifiyat mein kyun na samjhe
vo mere sab hawaale jaanta hai
main us ki dastaras mein hoon magar vo
mujhe meri raza se maangata hai
kisi ke dhyaan mein dooba hua dil
bahaane se mujhe bhi taalta hai
sadak ko chhod kar chalna padega
ki mere ghar ka kaccha raasta hai
खुली आँखों में सपना झाँकता है
वो सोया है कि कुछ कुछ जागता है
तिरी चाहत के भीगे जंगलों में
मिरा तन मोर बन कर नाचता है
मुझे हर कैफ़ियत में क्यूँ न समझे
वो मेरे सब हवाले जानता है
मैं उस की दस्तरस में हूँ मगर वो
मुझे मेरी रज़ा से माँगता है
किसी के ध्यान में डूबा हुआ दिल
बहाने से मुझे भी टालता है
सड़क को छोड़ कर चलना पड़ेगा
कि मेरे घर का कच्चा रास्ता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Parveen Shakir
our suggestion based on Parveen Shakir
As you were reading Yaad Shayari Shayari