ab itni saadgi laayein kahaan se | अब इतनी सादगी लाएँ कहाँ से

  - Parveen Shakir

ab itni saadgi laayein kahaan se
zameen ki khair maange aasmaan se

agar chahein to vo deewaar kar den
hamein ab kuchh nahin kehna zabaan se

sitaara hi nahin jab saath deta
to kashti kaam le kya baadbaan se

bhatkne se mile furqat to poochen
pata manzil ka meer-e-kaarwaan se

tavajjoh barq ki haasil rahi hai
so hai azaad fikr-e-aashiyaan se

hawa ko raaz-daan ham ne banaya
aur ab naaraz khushboo ke bayaan se

zaroori ho gai hai dil ki zeenat
makeen pahchaane jaate hain makaan se

fana-fil-ishq hona chahte the
magar furqat na thi kaar-e-jahaan se

vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thi
badi hikmat hai waabasta khizaan se

kisi ne baat ki thi hans ke shaayad
zamaane bhar se hain ham khud gumaan se

main ik ik teer pe khud dhaal banti
agar hota vo dushman ki kamaan se

jo sabza dekh kar kheme lagaayein
unhen takleef kyun pahunchen khizaan se

jo apne ped jalte chhod jaayen
unhen kya haq ki roothein baagbaan se

अब इतनी सादगी लाएँ कहाँ से
ज़मीं की ख़ैर माँगें आसमाँ से

अगर चाहें तो वो दीवार कर दें
हमें अब कुछ नहीं कहना ज़बाँ से

सितारा ही नहीं जब साथ देता
तो कश्ती काम ले क्या बादबाँ से

भटकने से मिले फ़ुर्सत तो पूछें
पता मंज़िल का मीर-ए-कारवाँ से

तवज्जोह बर्क़ की हासिल रही है
सो है आज़ाद फ़िक्र-ए-आशियाँ से

हवा को राज़-दाँ हम ने बनाया
और अब नाराज़ ख़ुशबू के बयाँ से

ज़रूरी हो गई है दिल की ज़ीनत
मकीं पहचाने जाते हैं मकाँ से

फ़ना-फ़िल-इश्क़ होना चाहते थे
मगर फ़ुर्सत न थी कार-ए-जहाँ से

वगर्ना फ़स्ल-ए-गुल की क़द्र क्या थी
बड़ी हिकमत है वाबस्ता ख़िज़ाँ से

किसी ने बात की थी हँस के शायद
ज़माने भर से हैं हम ख़ुद गुमाँ से

मैं इक इक तीर पे ख़ुद ढाल बनती
अगर होता वो दुश्मन की कमाँ से

जो सब्ज़ा देख कर ख़ेमे लगाएँ
उन्हें तकलीफ़ क्यूँ पहुँचे ख़िज़ाँ से

जो अपने पेड़ जलते छोड़ जाएँ
उन्हें क्या हक़ कि रूठें बाग़बाँ से

  - Parveen Shakir

Motivational Shayari in Hindi

Our suggestion based on your choice

More by Parveen Shakir

As you were reading Shayari by Parveen Shakir

Similar Writers

our suggestion based on Parveen Shakir

Similar Moods

As you were reading Motivational Shayari in Hindi Shayari