mere man mein ek khaamoshi chha chuki hai | मेरे मन में एक खामोशी छा चुकी है

  - SAFAR

mere man mein ek khaamoshi chha chuki hai
jo aawaze aani thi vo aa chuki hain

ab aankhon ko andhera bhi dikhta hai
galat kaha hain ki raushni ja chuki hai

jo khud hi gawaah hain meri begunaahi ka
vo adaalat mujhe saja suna chuki hain

main ab bhi bolta hoon pareshaani ye hain
unhen laga tha aag bujhaai ja chuki hain

ye mausam hain ki chaanv nahin mil raha
pichhle mausam mein koel ga chuki hain

मेरे मन में एक खामोशी छा चुकी है
जो आवाज़े आनी थी वो आ चुकी हैं

अब आँखों को अँधेरा भी दिखता है
गलत कहा हैं की रौशनी जा चुकी है

जो ख़ुद ही गवाह हैं मेरी बेगुनाही का
वो अदालत मुझे सजा सुना चुकी हैं

मैं अब भी बोलता हूं परेशानी ये हैं
उन्हें लगा था आग बुझाई जा चुकी हैं

ये मौसम हैं कि छाँव नहीं मिल रहा
पिछले मौसम में कोयल गा चुकी हैं

  - SAFAR

Charagh Shayari

Our suggestion based on your choice

More by SAFAR

As you were reading Shayari by SAFAR

Similar Writers

our suggestion based on SAFAR

Similar Moods

As you were reading Charagh Shayari Shayari