kabhi hai gul kabhi shamsheer sa hai | कभी है गुल कभी शमशीर सा है

  - Qamar Siddiqi

kabhi hai gul kabhi shamsheer sa hai
vo goya vaadi-e-kashmir sa hai

ravaabit sab hisaar-e-hijr mein hain
ta'alluq tootti zanjeer sa hai

bura sa khwaab dekha tha jo shab mein
ye din us khwaab ki ta'beer sa hai

hain gardish mein lahu saaat manaazir
zamaana aankh mein tasveer sa hai

qamar girdaab tak aao to jaano
jo muzda lehron pe tahreer sa hai

कभी है गुल कभी शमशीर सा है
वो गोया वादी-ए-कश्मीर सा है

रवाबित सब हिसार-ए-हिज्र में हैं
तअ'ल्लुक़ टूटती ज़ंजीर सा है

बुरा सा ख़्वाब देखा था जो शब में
ये दिन उस ख़्वाब की ता'बीर सा है

हैं गर्दिश में लहू साअत मनाज़िर
ज़माना आँख में तस्वीर सा है

'क़मर' गिर्दाब तक आओ तो जानो
जो मुज़्दा लहरों पे तहरीर सा है

  - Qamar Siddiqi

Aankhein Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Qamar Siddiqi

As you were reading Shayari by Qamar Siddiqi

Similar Writers

our suggestion based on Qamar Siddiqi

Similar Moods

As you were reading Aankhein Shayari Shayari