ye baat munkashif hui charaagh ke baghair bhi
main dhundh loonga har khushi charaagh ke baghair bhi
hua tha jis jagah kabhi visaal-e-yaar dosto
hai us jagah pe raushni charaagh ke baghair bhi
likkhi gai hain jis ke saath zindagi ki manzilen
vo aa milega aadmi charaagh ke baghair bhi
masarraton ke qafile luta rahi hai phir mujhe
tiri ye khud-supurdagi charaagh ke baghair bhi
main tazkira karoon to kya karoon jamaal-e-yaar ka
damak rahi thi dilkashi charaagh ke baghair bhi
tumhaari ek yaad be-shumaar hasraton ke rang
nigaah mein saja gai charaagh ke baghair bhi
gila kisi se kyun karoon guzar hi jaayegi khayal
ye mukhtasar si zindagi charaagh ke baghair bhi
ये बात मुन्कशिफ़ हुई चराग़ के बग़ैर भी
मैं ढूँड लूँगा हर ख़ुशी चराग़ के बग़ैर भी
हुआ था जिस जगह कभी विसाल-ए-यार दोस्तो
है उस जगह पे रौशनी चराग़ के बग़ैर भी
लिक्खी गई हैं जिस के साथ ज़िंदगी की मंज़िलें
वो आ मिलेगा आदमी चराग़ के बग़ैर भी
मसर्रतों के क़ाफ़िले लुटा रही है फिर मुझे
तिरी ये ख़ुद-सुपुर्दगी चराग़ के बग़ैर भी
मैं तज़्किरा करूँ तो क्या करूँ जमाल-ए-यार का
दमक रही थी दिलकशी चराग़ के बग़ैर भी
तुम्हारी एक याद बे-शुमार हसरतों के रंग
निगाह में सजा गई चराग़ के बग़ैर भी
गिला किसी से क्यूँ करूँ गुज़र ही जाएगी 'ख़याल'
ये मुख़्तसर सी ज़िंदगी चराग़ के बग़ैर भी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Rafique Khayal
our suggestion based on Rafique Khayal
As you were reading Khushi Shayari Shayari