ek nazm subah ke intizaar mein
kat gai raat
magar
raat abhi baaki hai
hasrat-e-deed abhi zinda hai
dil dhadakta hai abhi
shauq-e-mulaqaat abhi zinda hai
dil ke sahra-e-wafa mein hai ghazaalon ka hujoom
aur us chaand ke pyaale se chhalkati hai meri pyaas abhi
zindagi aayi nahin raas abhi
subah se pehli mulaqaat abhi baaki hai
kat gai raat
magar
raat abhi baaki hai
"एक नज़्म सुब्ह के इंतिज़ार में"
कट गई रात
मगर
रात अभी बाक़ी है
हसरत-ए-दीद अभी ज़िंदा है
दिल धड़कता है अभी
शौक़-ए-मुलाक़ात अभी ज़िंदा है
दिल के सहरा-ए-वफ़ा में है ग़ज़ालों का हुजूम
और उस चाँद के प्याले से छलकती है मिरी प्यास अभी
ज़िंदगी आई नहीं रास अभी
सुब्ह से पहली मुलाक़ात अभी बाक़ी है
कट गई रात
मगर
रात अभी बाक़ी है
As you were reading Shayari by Rahi Masoom Raza
our suggestion based on Rahi Masoom Raza
As you were reading undefined Shayari