ik muqaddar chheenne waale ka jalwa dekhta
main hawa se jeb tak jaata vo sikka dekhta
zindagi tu naql kii mohlat agar deti mujhe
main kasauti pe teri dhoke ka parcha dekhta
kuchh dinon tak koii paagal baithta tha daar pe
jo hazaaron martaba sunsaan rasta dekhta
main use har baar mehmaan bolta tha aur vo
mezbaani dekhta tha aur kamra dekhta
aasmaan pe chaand us shab aa gaya tha baad mein
yaar tu vo aakhiri baadal to chhantta dekhta
इक मुक़द्दर छीनने वाले का जल्वा देखता
मैं हवा से जेब तक जाता वो सिक्का देखता
ज़िन्दगी तू नक़्ल की मोहलत अगर देती मुझे
मैं कसौटी पे तेरी धोखे का पर्चा देखता
कुछ दिनों तक कोई पागल बैठता था दार पे
जो हज़ारों मर्तबा सुनसान रस्ता देखता
मैं उसे हर बार मेहमाँ बोलता था और वो
मेज़बानी देखता था और कमरा देखता
आसमाँ पे चाँद उस शब आ गया था बाद में
यार तू वो आख़िरी बादल तो छँटता देखता
As you were reading Shayari by Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
our suggestion based on Rajnishwar Chauhan 'Rajnish'
As you were reading undefined Shayari