hosh baqi na khabar hai baqi
haan zara kor-kasar hai baqi
jaanleva thi adaayein phir kya
shukr hai jaan-o-jigar hai baqi
ab udhar pyaar kahaan milta hai
aa mere paas idhar hai baqi
khatm hote hi safar yaadon ka
ek yaadon ka safar hai baqi
saarthi chook gaya mat samjho
ishq karne ka hunar hai baqi
होश बाक़ी न ख़बर है बाक़ी
हाँ ज़रा कोर-कसर है बाक़ी
जानलेवा थी अदाएँ फिर क्या
शुक्र है जान-ओ-जिगर है बाक़ी
अब उधर प्यार कहाँ मिलता है
आ मेरे पास इधर है बाक़ी
ख़त्म होते ही सफ़र यादों का
एक यादों का सफ़र है बाक़ी
'सारथी' चूक गया मत समझो
इश्क़ करने का हुनर है बाक़ी
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Saarthi Baidyanath
our suggestion based on Saarthi Baidyanath
As you were reading Mashwara Shayari Shayari