kisi pari ka libaas ya phir kisi nadi ki mithaas hota | किसी परी का लिबास, या फिर किसी नदी की मिठास होता - Safar

kisi pari ka libaas ya phir kisi nadi ki mithaas hota
mera na phir kuch hisaab hota hisaab se be-hiraas hota

dara nahin aadmi khuda se tabhi ibadat nasha nahin hai
qayaas to hai khuda magar kaash in dilon mein hiraas hota

bacha rahoon bas khuda tujhi se bacha rahoonga abad-sara se
umar-abad jo mujhe mile to sharaab zam-zam gilaas hota

safar tabhi but-taraash banta vo dekh leta agar khuda ko
kabhi khuda se kalaam karta kabhi khuda se udaas hota

किसी परी का लिबास, या फिर किसी नदी की मिठास होता
मेरा न फिर कुछ हिसाब होता, हिसाब से बे-हिरास होता

डरा नहीं आदमी ख़ुदा से, तभी इबादत नशा नहीं है
क़यास तो है ख़ुदा मगर काश इन दिलों में हिरास होता

बचा रहूँ बस ख़ुदा तुझी से, बचा रहूँगा अबद-सरा से
उमर-अबद जो मुझे मिले तो, शराब, ज़म-ज़म, गिलास होता

सफ़र तभी बुत-तराश बनता, वो देख लेता अगर ख़ुदा को
कभी ख़ुदा से कलाम करता, कभी ख़ुदा से उदास होता

- Safar
1 Like

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Safar

As you were reading Shayari by Safar

Similar Writers

our suggestion based on Safar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari