dil rakh diya tha saamne maine nichod kar
phir bhi vo ja raha hai mujhe tanhaa chhod kar
qismat to tere saath kabhi mil nahin saki
tasveer dekhta hoon tire saath jod kar
uski qasam se haath mere hain bandhe hue
gussa nikaalta hoon main patthar ko tod kar
talwaar sabse baad mein laaya nikaal kar
dekha tha pehle sabke kai haath jod kar
vo jis tarah gaya hai mujhe aisa lagta hai
aayenge sab janaaze mein par usko chhod kar
दिल रख दिया था सामने मैंने निचोड़ कर
फिर भी वो जा रहा है मुझे तन्हा छोड़ कर
क़िस्मत तो तेरे साथ कभी मिल नहीं सकी
तस्वीर देखता हूँ तिरे साथ जोड़ कर
उसकी क़सम से हाथ मिरे हैं बंधे हुए
ग़ुस्सा निकालता हूँ मैं पत्थर को तोड़ कर
तलवार सबसे बाद में लाया निकाल कर
देखा था पहले सबके कई हाथ जोड़ कर
वो जिस तरह गया है मुझे ऐसा लगता है
आऍंगे सब जनाज़े में पर उसको छोड़ कर
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari