khud ko dene ke liye bas ik tasalli hi bachi hai
chhod kar jaane ka jab poocha to samjha kar gai hai
zindagi dam todti hi ja rahi hai din-b-din aur
maut baahar baal khole kab se chaukhat par khadi hai
main tasavvur karta tha jis zindagi ka sach kahoon to
saamne se mujhko vo aati hui bas dik rahi hai
jab kabhi khud ko akela saath khud ke chhodta hoon
maan jaata hoon ki sabse khoobsurat khud-kushi hai
sirf aaye hain sunaane ke liye sunna nahin hai
aap jaise logon mein bas ik pareshaani yahi hai
ख़ुद को देने के लिए बस इक तसल्ली ही बची है
छोड़ कर जाने का जब पूछा तो समझा कर गई है
ज़िंदगी दम तोड़ती ही जा रही है दिन-ब-दिन और
मौत बाहर बाल खोले कब से चौखट पर खड़ी है
मैं तसव्वुर करता था जिस ज़िंदगी का सच कहूँ तो
सामने से मुझको वो आती हुई बस दिख रही है
जब कभी ख़ुद को अकेला साथ ख़ुद के छोड़ता हूँ
मान जाता हूँ कि सबसे ख़ूबसूरत ख़ुद-कुशी है
सिर्फ़ आए हैं सुनाने के लिए सुनना नहीं है
आप जैसे लोगों में बस इक परेशानी यही है
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari