na hote vo kabhi qaabil hamaare
na hote apne jo buzdil hamaare
zamaane bhar mein aandhi chal padi hai
hamaara mulk hai haasil hamaare
mera hi qatl sar mere hua hai
khule hain ghoomte qaateel hamaare
use apna bana ghar mein rakha tha
nahin tha jo kabhi qaabil hamaare
muqaddar likh chuka marna hamaara
mayassar hi nahin saahil hamaare
न होते वो कभी क़ाबिल हमारे
न होते अपने जो बुज़दिल हमारे
ज़माने भर में आँधी चल पड़ी है
हमारा मुल्क है हासिल हमारे
मिरा ही क़त्ल सर मेरे हुआ है
खुले हैं घूमते क़ातिल हमारे
उसे अपना बना घर में रखा था
नहीं था जो कभी क़ाबिल हमारे
मुक़द्दर लिख चुका मरना हमारा
मयस्सर ही नहीं साहिल हमारे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Bijli Shayari Shayari