ye udaasi chehre par aane se pehle dekhte
mujhko tum mere guzar jaane se pehle dekhte
aapko jo ye dikhaai deta hai malba mera
ghar hua karta tha veeraane se pehle dekhte
ye bhi koii waqt hai kya dekhne waala mujhe
tum mujhe uske chale jaane se pehle dekhte
jaan lete kya hua tha is kahaani mein agar
zindagi kii film tum gaane se pehle dekhte
ab hamaari maut par rone se bhi kya faaeda
ye imarat aap gar dhaane se pehle dekhte
ik nazaara rah gaya baaki tumhaara dekhna
yah nazaara zahar tum khaane se pehle dekhte
ये उदासी चेहरे पर आने से पहले देखते
मुझको तुम मेरे गुज़र जाने से पहले देखते
आपको जो ये दिखाई देता है मलबा मिरा
घर हुआ करता था वीराने से पहले देखते
ये भी कोई वक़्त है क्या देखने वाला मुझे
तुम मुझे उसके चले जाने से पहले देखते
जान लेते क्या हुआ था इस कहानी में अगर
ज़िंदगी की फ़िल्म तुम गाने से पहले देखते
अब हमारी मौत पर रोने से भी क्या फ़ाएदा
ये इमारत आप गर ढाने से पहले देखते
इक नज़ारा रह गया बाक़ी तुम्हारा देखना
यह नज़ारा ज़हर तुम खाने से पहले देखते
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading undefined Shayari