kabhi vo paas jab ho saath tanhaai nahin hoti
mohabbat mein kabhi bhi dost ruswaai nahin hoti
nahin ma'aloom vo kis shakl mein karta madad meri
farishton ki suna hai yaar parchhaai nahin hoti
kaiyen lashkar riyaasat ho gaeein barbaad chaahat mein
mohabbat mas'ala hai roz sunwaai nahin hoti
bacha leta agar jo doobne se ishq mein tumko
tumhein tha zo'm dil mein yaar gehraai nahin hoti
tumhein is baat ka ehsaas bhi hoga kabhi saagar
kabhi bhi maut ki awaaz shehnai nahin hoti
कभी वो पास जब हो साथ तन्हाई नहीं होती
मोहब्बत में कभी भी दोस्त रुसवाई नहीं होती
नहीं मा'लूम वो किस शक्ल में करता मदद मेरी
फ़रिश्तों की सुना है यार परछाई नहीं होती
कईं लश्कर रियासत हो गईं बर्बाद चाहत में
मोहब्बत मसअला है रोज़ सुनवाई नहीं होती
बचा लेता अगर जो डूबने से इश्क़ में तुमको
तुम्हें था ज़ो'म दिल में यार गहराई नहीं होती
तुम्हें इस बात का एहसास भी होगा कभी सागर
कभी भी मौत की आवाज़ शहनाई नहीं होती
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni
our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni
As you were reading Wahshat Shayari Shayari