dukh ye nahin vo shakhs hamaara nahin hua | दुख ये नहीं वो शख़्स हमारा नहीं हुआ

  - Sagar Sahab Badayuni

dukh ye nahin vo shakhs hamaara nahin hua
dukh to ye hai ki koi sahaara nahin hua

aadat udaas rahne ki phir ho gai mujhe
apna kisi khushi se guzaara nahin hua

har shakhs mil raha tha mujhe gair ka chhua
afsos ek shakhs bhi saara nahin hua

har haal kaat leta main ye zindagi magar
mujh ko tira kabhi vo ishaara nahin hua

bas ek hi sabak mein samajh aa gaya mujhe
phir khaandaan mein ye dobaara nahin hua

vo khush nahin ki ek bada haadsa talaa
main bach gaya mujhe ye gawara nahin hua

दुख ये नहीं वो शख़्स हमारा नहीं हुआ
दुख तो ये है कि कोई सहारा नहीं हुआ

आदत उदास रहने की फिर हो गई मुझे
अपना किसी ख़ुशी से गुज़ारा नहीं हुआ

हर शख़्स मिल रहा था मुझे ग़ैर का छुआ
अफ़सोस एक शख़्स भी सारा नहीं हुआ

हर हाल काट लेता मैं ये ज़िंदगी मगर
मुझ को तिरा कभी वो इशारा नहीं हुआ

बस एक ही सबक में समझ आ गया मुझे
फिर ख़ानदान में ये दुबारा नहीं हुआ

वो ख़ुश नहीं कि एक बड़ा हादसा टला
मैं बच गया मुझे ये गवारा नहीं हुआ

  - Sagar Sahab Badayuni

Gham Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Sagar Sahab Badayuni

As you were reading Shayari by Sagar Sahab Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Sagar Sahab Badayuni

Similar Moods

As you were reading Gham Shayari Shayari