zindagi maut ke pahluu mein bhali lagti hai
ghaas is qabr pe kuchh aur hari lagti hai
roz kaaghaz pe banata hoon main qadmon ke nuqoosh
koii chalta nahin aur ham-safari lagti hai
aankh maanus-e-tamaasha nahin hone paati
kaisi soorat hai ki har roz nayi lagti hai
ghaas mein jazb hue honge zameen ke aansu
paanv rakhta hoon to halki sii nami lagti hai
sach to kah doon magar is daur ke insaanon ko
baat jo dil se nikalti hai buri lagti hai
mere sheeshe mein utar aayi hai jo shaam-e-firaq
vo kisi sheher-e-nigaaraan kii pari lagti hai
boond bhar ashk bhi tapka na kisi ke gham mein
aaj har aankh koii abr-e-tahi lagti hai
shor-e-tiflaan bhi nahin hai na raqeebon ka hujoom
laut aao ye koii aur gali lagti hai
ghar mein kuchh kam hai ye ehsaas bhi hota hai saleem
ye bhi khulta nahin kis shay kii kami lagti hai
ज़िंदगी मौत के पहलू में भली लगती है
घास इस क़ब्र पे कुछ और हरी लगती है
रोज़ काग़ज़ पे बनाता हूँ मैं क़दमों के नुक़ूश
कोई चलता नहीं और हम-सफ़री लगती है
आँख मानूस-ए-तमाशा नहीं होने पाती
कैसी सूरत है कि हर रोज़ नई लगती है
घास में जज़्ब हुए होंगे ज़मीं के आँसू
पाँव रखता हूँ तो हल्की सी नमी लगती है
सच तो कह दूँ मगर इस दौर के इंसानों को
बात जो दिल से निकलती है बुरी लगती है
मेरे शीशे में उतर आई है जो शाम-ए-फ़िराक़
वो किसी शहर-ए-निगाराँ की परी लगती है
बूँद भर अश्क भी टपका न किसी के ग़म में
आज हर आँख कोई अब्र-ए-तही लगती है
शोर-ए-तिफ़्लाँ भी नहीं है न रक़ीबों का हुजूम
लौट आओ ये कोई और गली लगती है
घर में कुछ कम है ये एहसास भी होता है 'सलीम'
ये भी खुलता नहीं किस शय की कमी लगती है
As you were reading Shayari by Saleem Ahmad
our suggestion based on Saleem Ahmad
As you were reading undefined Shayari