itni qurbat bhi nahin theek hai ab yaar ke saath
zakhm kha jaaoge kheloge jo talwaar ke saath
ek aahat bhi mere ghar se ubharti hai agar
log kaan apne laga lete hain deewaar ke saath
paanv saakit hain magar ghoom rahi hai duniya
zindagi thehri hui lagti hai raftaar ke saath
ek jalta hua aansu meri aankhon se gira
bediyaan toot gaeein zulm kii jhankaar ke saath
kal bhi anmol tha main aaj bhi anmol hoon main
ghatti badhti nahin qeemat meri bazaar ke saath
kaj-kulaahi pe na maghroor hua kar itna
sar utar aate hain shahon ke bhi dastaar ke saath
kaun sa jurm khuda jaane hua hai saabit
mashware karta hai munsif jo gunahgaar ke saath
shehar bhar ko main mayassar hoon sivaae us ke
jis kii deewaar lagi hai meri deewaar ke saath
इतनी क़ुर्बत भी नहीं ठीक है अब यार के साथ
ज़ख़्म खा जाओगे खेलोगे जो तलवार के साथ
एक आहट भी मिरे घर से उभरती है अगर
लोग कान अपने लगा लेते हैं दीवार के साथ
पाँव साकित हैं मगर घूम रही है दुनिया
ज़िंदगी ठहरी हुई लगती है रफ़्तार के साथ
एक जलता हुआ आँसू मिरी आँखों से गिरा
बेड़ियाँ टूट गईं ज़ुल्म की झंकार के साथ
कल भी अनमोल था मैं आज भी अनमोल हूँ मैं
घटती बढ़ती नहीं क़ीमत मिरी बाज़ार के साथ
कज-कुलाही पे न मग़रूर हुआ कर इतना
सर उतर आते हैं शाहों के भी दस्तार के साथ
कौन सा जुर्म ख़ुदा जाने हुआ है साबित
मशवरे करता है मुंसिफ़ जो गुनहगार के साथ
शहर भर को मैं मयस्सर हूँ सिवाए उस के
जिस की दीवार लगी है मिरी दीवार के साथ
As you were reading Shayari by Saleem Siddiqui
our suggestion based on Saleem Siddiqui
As you were reading undefined Shayari