khaamosh lab hain jhuki hain palkein dilon mein ulfat nayi nayi hai
abhi taqalluf hai guftagoo mein abhi mohabbat nayi nayi hai
abhi na aayengi neend tumko abhi na hamko sukoon milega
abhi to dhadakega dil ziyaada abhi muhabbat nayi nayi hai
bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman mein tahal ke aayein
fazaa mein khushboo nayi nayi hai gulon mein rangat nayi nayi hai
jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna
tumhaara lahja bata raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai
zara sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pehli saf mein
abhi kyun udne lage hawa mein abhi to shohrat nayi nayi hai
bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain
ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
ख़ामोश लब हैं झुकी हैं पलकें, दिलों में उल्फ़त नई नई है
अभी तक़ल्लुफ़ है गुफ़्तगू में, अभी मोहब्बत नई नई है
अभी न आएँगी नींद तुमको, अभी न हमको सुकूँ मिलेगा
अभी तो धड़केगा दिल ज़ियादा, अभी मुहब्बत नई नई है
बहार का आज पहला दिन है, चलो चमन में टहल के आएँ
फ़ज़ा में ख़ुशबू नई नई है गुलों में रंगत नई नई है
जो खानदानी रईस हैं वो मिज़ाज रखते हैं नर्म अपना
तुम्हारा लहजा बता रहा है, तुम्हारी दौलत नई नई है
ज़रा सा क़ुदरत ने क्या नवाज़ा के आके बैठे हो पहली सफ़ में
अभी क्यों उड़ने लगे हवा में अभी तो शोहरत नई नई है
बमों की बरसात हो रही है, पुराने जांबाज़ सो रहे हैं
ग़ुलाम दुनिया को कर रहा है वो जिसकी ताक़त नई नई है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shabeena Adeeb
our suggestion based on Shabeena Adeeb
As you were reading Ulfat Shayari Shayari