yun mujhe teri sada apni taraf kheenchti hai
jaise khushboo ko hawa apni taraf kheenchti hai
ye mujhe neend mein chalne ki jo beemaari hai
mujh ko ik khwaab-sara apni taraf kheenchti hai
mujhe dariya se nahin hai koi lena-dena
kyun mujhe mauj-e-balaa apni taraf kheenchti hai
kheenchti hai mujhe rah rah ke mohabbat us ki
jaise faani ko fana apni taraf kheenchti hai
main hoon suraj sa ravaan raat ki jaanib shaahid
mujh barhana ko qaba apni taraf kheenchti hai
यूँ मुझे तेरी सदा अपनी तरफ़ खींचती है
जैसे ख़ुशबू को हवा अपनी तरफ़ खींचती है
ये मुझे नींद में चलने की जो बीमारी है
मुझ को इक ख़्वाब-सरा अपनी तरफ़ खींचती है
मुझे दरिया से नहीं है कोई लेना-देना
क्यूँ मुझे मौज-ए-बला अपनी तरफ़ खींचती है
खींचती है मुझे रह रह के मोहब्बत उस की
जैसे फ़ानी को फ़ना अपनी तरफ़ खींचती है
मैं हूँ सूरज सा रवाँ रात की जानिब 'शाहिद'
मुझ बरहना को क़बा अपनी तरफ़ खींचती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shahid Zaki
our suggestion based on Shahid Zaki
As you were reading Bimar Shayari Shayari