mere ham-nafs mere ham-nava mujhe dost ban ke daga na de | मेरे हम-नफ़स मेरे हम-नवा मुझे दोस्त बन के दग़ा न दे - Shakeel Badayuni

mere ham-nafs mere ham-nava mujhe dost ban ke daga na de
main hoon dard-e-ishq se jaan-b-lab mujhe zindagi ki dua na de

mere daag-e-dil se hai raushni isee raushni se hai zindagi
mujhe dar hai ai mere chaara-gar ye charaagh tu hi bujha na de

mujhe chhod de mere haal par tira kya bharosa hai chaara-gar
ye tiri nawaazish-e-mukhtasar mera dard aur badha na de

mera azm itna buland hai ki paraaye sholon ka dar nahin
mujhe khauf aatish-e-gul se hai ye kahi chaman ko jala na de

vo uthe hain le ke khum-o-suboo are o shakeel kahaan hai tu
tira jaam lene ko bazm mein koi aur haath badha na de

मेरे हम-नफ़स मेरे हम-नवा मुझे दोस्त बन के दग़ा न दे
मैं हूँ दर्द-ए-इश्क़ से जाँ-ब-लब मुझे ज़िंदगी की दुआ न दे

मेरे दाग़-ए-दिल से है रौशनी इसी रौशनी से है ज़िंदगी
मुझे डर है ऐ मिरे चारा-गर ये चराग़ तू ही बुझा न दे

मुझे छोड़ दे मिरे हाल पर तिरा क्या भरोसा है चारा-गर
ये तिरी नवाज़िश-ए-मुख़्तसर मिरा दर्द और बढ़ा न दे

मेरा अज़्म इतना बुलंद है कि पराए शोलों का डर नहीं
मुझे ख़ौफ़ आतिश-ए-गुल से है ये कहीं चमन को जला न दे

वो उठे हैं ले के ख़ुम-ओ-सुबू अरे ओ 'शकील' कहाँ है तू
तिरा जाम लेने को बज़्म में कोई और हाथ बढ़ा न दे

- Shakeel Badayuni
8 Likes

Dard Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Badayuni

As you were reading Shayari by Shakeel Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Badayuni

Similar Moods

As you were reading Dard Shayari Shayari