koi aarzoo nahin hai koi muddaa nahin hai | कोई आरज़ू नहीं है कोई मुद्दआ' नहीं है

  - Shakeel Badayuni

koi aarzoo nahin hai koi muddaa nahin hai
tira gham rahe salaamat mere dil mein kya nahin hai

kahaan jaam-e-gham ki talkhi kahaan zindagi ka darmaan
mujhe vo dava mili hai jo meri dava nahin hai

tu bachaaye laakh daaman mera phir bhi hai ye daava
tire dil mein main hi main hoon koi doosra nahin hai

tumhein kah diya sitam-gar ye qusoor tha zabaan ka
mujhe tum muaaf kar do mera dil bura nahin hai

mujhe dost kehne waale zara dosti nibha de
ye mutaalba hai haq ka koi iltijaa nahin hai

ye udaas udaas chehre ye haseen haseen tabassum
tiri anjuman mein shaayad koi aaina nahin hai

meri aankh ne tujhe bhi b-khuda shakeel paaya
main samajh raha tha mujh sa koi doosra nahin hai

कोई आरज़ू नहीं है कोई मुद्दआ' नहीं है
तिरा ग़म रहे सलामत मिरे दिल में क्या नहीं है

कहां जाम-ए-ग़म की तल्ख़ी कहां ज़िंदगी का दरमां
मुझे वो दवा मिली है जो मिरी दवा नहीं है

तू बचाए लाख दामन मिरा फिर भी है ये दावा
तिरे दिल में मैं ही मैं हूं कोई दूसरा नहीं है

तुम्हें कह दिया सितम-गर ये क़ुसूर था ज़बां का
मुझे तुम मुआफ़ कर दो मिरा दिल बुरा नहीं है

मुझे दोस्त कहने वाले ज़रा दोस्ती निभा दे
ये मुतालबा है हक़ का कोई इल्तिजा नहीं है

ये उदास उदास चेहरे ये हसीं हसीं तबस्सुम
तिरी अंजुमन में शायद कोई आइना नहीं है

मिरी आंख ने तुझे भी ब-ख़ुदा 'शकील' पाया
मैं समझ रहा था मुझ सा कोई दूसरा नहीं है

  - Shakeel Badayuni

Life Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shakeel Badayuni

As you were reading Shayari by Shakeel Badayuni

Similar Writers

our suggestion based on Shakeel Badayuni

Similar Moods

As you were reading Life Shayari Shayari