thoda sa maahol banaana hota hai
warna kiske saath zamaana hota hai
aansu pehli shart hai zinda rahne ki
gham to saanson ka jurmaana hota hai
saccha sher sunaane waale khatm hue
ab to khaali khel dikhaana hota hai
raat hamaare ghar jaldi aa jaaya kar
hamein savere kaam pe jaana hota hai
laal-qile ki deewaron par likhwaa do
dil sab se mahfooz thikaana hota hai
duniya mein bhar-maar hai naqli logon ki
sau mein koi ek deewana hota hai
थोड़ा सा माहौल बनाना होता है
वर्ना किसके साथ ज़माना होता है
आँसू पहली शर्त है ज़िंदा रहने की
ग़म तो साँसों का जुर्माना होता है
सच्चा शेर सुनाने वाले ख़त्म हुए
अब तो ख़ाली खेल दिखाना होता है
रात हमारे घर जल्दी आ जाया कर
हमें सवेरे काम पे जाना होता है
लाल-क़िले की दीवारों पर लिखवा दो
दिल सब से महफ़ूज़ ठिकाना होता है
दुनिया में भर-मार है नक़ली लोगों की
सौ में कोई एक दिवाना होता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shakeel Jamali
our suggestion based on Shakeel Jamali
As you were reading Dard Shayari Shayari