mere naseeb ka likkha badal bhi saktaa tha | मिरे नसीब का लिक्खा बदल भी सकता था

  - Shayar Jamali

mere naseeb ka likkha badal bhi saktaa tha
vo chahta to mere saath chal bhi saktaa tha

ye tu ne theek kiya apna haath kheench liya
mere labon se tira haath jal bhi saktaa tha

udaati rahti hai duniya ghalat-salat baatein
vo sang-dil tha to ik din pighal bhi saktaa tha

utar gaya tira gham rooh kii fazaaon mein
ragon mein hota to aankhon se dhal bhi saktaa tha

main theek waqt pe khaamosh ho gaya warna
mere rafeeqon ka lahja badal bhi saktaa tha

ana ko dhoop mein rahna pasand tha warna
tire ghuroor ka suraj to dhal bhi saktaa tha

ragad saki na meri pyaas ediyaan warna
har ek zarre se chashma ubal bhi saktaa tha

pasand aayi na tooti hui faseel kii raah
main shehr-e-tan kii ghutan se nikal bhi saktaa tha

vo lamha jis ne mujhe reza-reza kar daala
kisi ke bas mein jo hota to tal bhi saktaa tha

मिरे नसीब का लिक्खा बदल भी सकता था
वो चाहता तो मिरे साथ चल भी सकता था

ये तू ने ठीक किया अपना हाथ खींच लिया
मिरे लबों से तिरा हाथ जल भी सकता था

उड़ाती रहती है दुनिया ग़लत-सलत बातें
वो संग-दिल था तो इक दिन पिघल भी सकता था

उतर गया तिरा ग़म रूह की फ़ज़ाओं में
रगों में होता तो आँखों से ढल भी सकता था

मैं ठीक वक़्त पे ख़ामोश हो गया वर्ना
मिरे रफ़ीक़ों का लहजा बदल भी सकता था

अना को धूप में रहना पसंद था वर्ना
तिरे ग़ुरूर का सूरज तो ढल भी सकता था

रगड़ सकी न मिरी प्यास एड़ियाँ वर्ना
हर एक ज़र्रे से चश्मा उबल भी सकता था

पसंद आई न टूटी हुई फ़सील की राह
मैं शहर-ए-तन की घुटन से निकल भी सकता था

वो लम्हा जिस ने मुझे रेज़ा-रेज़ा कर डाला
किसी के बस में जो होता तो टल भी सकता था

  - Shayar Jamali

More by Shayar Jamali

As you were reading Shayari by Shayar Jamali

Similar Writers

our suggestion based on Shayar Jamali

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari