daron ko chunta hoon deewaar se nikalta hoon | दरों को चुनता हूँ दीवार से निकलता हूँ

  - Shoaib Nizam

daron ko chunta hoon deewaar se nikalta hoon
main khud ko jeet ke is haar se nikalta hoon

tujhe shanaakht nahin hai mere lahu kii kya
main roz subah ke akhbaar se nikalta hoon

meri talash mein us paar log jaate hain
magar main doob ke is paar se nikalta hoon

ajeeb khauf hai dono ko kya kiya jaaye
main qad mein apne hi sardaar se nikalta hoon

ab aage faisla qismat pe chhod ke main bhi
tilism-e-saabit-o-sayyaar se nikalta hoon

sooni hai main ne kisi samt se wahi awaaz
suno main gardish-e-parkaar se nikalta hoon

meri talash mein vo bhi zaroor aayega
so main bhi chashm-e-kharidaar se nikalta hoon

nateeja jo bhi ho jaa-e-amaan mile na mile
main ab kharaba-e-purkaar se nikalta hoon

दरों को चुनता हूँ दीवार से निकलता हूँ
मैं ख़ुद को जीत के इस हार से निकलता हूँ

तुझे शनाख़्त नहीं है मिरे लहू की क्या
मैं रोज़ सुब्ह के अख़बार से निकलता हूँ

मिरी तलाश में उस पार लोग जाते हैं
मगर मैं डूब के इस पार से निकलता हूँ

अजीब ख़ौफ़ है दोनों को क्या किया जाए
मैं क़द में अपने ही सरदार से निकलता हूँ

अब आगे फ़ैसला क़िस्मत पे छोड़ के मैं भी
तिलिस्म-ए-साबित-ओ-सय्यार से निकलता हूँ

सुनी है मैं ने किसी सम्त से वही आवाज़
सुनो मैं गर्दिश-ए-परकार से निकलता हूँ

मिरी तलाश में वो भी ज़रूर आएगा
सो मैं भी चश्म-ए-ख़रीदार से निकलता हूँ

नतीजा जो भी हो जा-ए-अमाँ मिले न मिले
मैं अब ख़राबा-ए-पुरकार से निकलता हूँ

  - Shoaib Nizam

More by Shoaib Nizam

As you were reading Shayari by Shoaib Nizam

Similar Writers

our suggestion based on Shoaib Nizam

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari