kabhi tum mol lene ham koon hans hans bhaav karte ho | कभी तुम मोल लेने हम कूँ हँस हँस भाव करते हो - Siraj Aurangabadi

kabhi tum mol lene ham koon hans hans bhaav karte ho
kabhi teer-e-nigaah-e-tund ka barsaav karte ho

kabhi tum sard karte ho dilon ki aag garmi seen
kabhi tum sard-mehri seen jhatak kar baav karte ho

kabhi tum saaf karte ho mere dil ki kudoorat koon
kabhi tum be-sabab tevari chadha kar taav karte ho

kabhi tum mom ho jaate ho jab main garm hota hoon
kabhi main sard hota hoon to tum bharkaav karte ho

kabhi la la mujhe dete ho apne haath seen pyaala
kabhi tum sheesha-e-dil par mere pathraav karte ho

kabhi tum dhool udaate ho meri gusse seen rookhe ho
kabhi munh par haya ka la arq chhidkaav karte ho

kabhi khush ho ke karte ho siraaj apne ki jaan-bakhshi
kabhi us ke bujha dene koon kya kya daav karte ho

कभी तुम मोल लेने हम कूँ हँस हँस भाव करते हो
कभी तीर-ए-निगाह-ए-तुंद का बरसाव करते हो

कभी तुम सर्द करते हो दिलों की आग गर्मी सीं
कभी तुम सर्द-मेहरी सीं झटक कर बाव करते हो

कभी तुम साफ़ करते हो मिरे दिल की कुदूरत कूँ
कभी तुम बे-सबब तेवरी चढ़ा कर ताव करते हो

कभी तुम मोम हो जाते हो जब मैं गर्म होता हूँ
कभी मैं सर्द होता हूँ तो तुम भड़काव करते हो

कभी ला ला मुझे देते हो अपने हात सीं प्याला
कभी तुम शीशा-ए-दिल पर मिरे पथराव करते हो

कभी तुम धूल उड़ाते हो मिरी ग़ुस्से सीं रूखे हो
कभी मुँह पर हया का ला अरक़ छिड़काव करते हो

कभी ख़ुश हो के करते हो 'सिराज' अपने की जाँ-बख़्शी
कभी उस के बुझा देने कूँ क्या क्या दाव करते हो

- Siraj Aurangabadi
1 Like

Naqab Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Siraj Aurangabadi

As you were reading Shayari by Siraj Aurangabadi

Similar Writers

our suggestion based on Siraj Aurangabadi

Similar Moods

As you were reading Naqab Shayari Shayari