aur ke hisse aati hai
mujh ko jo shay bhaati hai
shaam dhale kyun tanhaai
mere ghar aa jaati hai
kis se pooch ke itne sitam
qismat mujh par dhaati hai
mera number aate hi
line khatm ho jaati hai
jab bhi khush hota hoon main
rooh bahut ghabraati hai
itna tanhaa ho jaata hoon
dhadkan ruk ruk jaati hai
tum hote to kah deta
yaad tumhaari aati hai
और के हिस्से आती है
मुझ को जो शय भाती है
शाम ढले क्यूँ तन्हाई
मेरे घर आ जाती है
किस से पूछ के इतने सितम
क़िस्मत मुझ पर ढाती है
मेरा नंबर आते ही
लाइन ख़त्म हो जाती है
जब भी ख़ुश होता हूँ मैं
रूह बहुत घबराती है
इतना तन्हा हो जाता हूँ
धड़कन रुक रुक जाती है
तुम होते तो कह देता
याद तुम्हारी आती है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sohil Barelvi
our suggestion based on Sohil Barelvi
As you were reading Zulm Shayari Shayari